October 02, 2008

Bina Scrap Kiya


Orkut Glitter Comments


Kya kahe ki kuch kaha nahi jata
Dard mitha hai par saha nahi jata,
Dosti ho gai hai is kadar tumse
Bina scrap kiye raha nahi jata



Aapke Jazzbat - Apnimehfil
--
apnimehfil.blogspot.com --



Copy This Code ( Ctrl+C)


September 29, 2008

Ek Ehsaas Jo Har Wqt Saath Hain





Ek Tera Ehsaas Hai Jo Har Waqt Mere Sath Hai

Ek Teri Yaad Hai Jo Din Raat Mujhe Tarpaati Hai

Ek Umeed Hai Tere Aane Ki Apna Tujhe Banane Ki

Na Chain Hai Na Sukoon Hai Ye Kaisa Mera Haal Hai

Ratein Ho gayi Hai Itni Lambi Jo Kaate Nahi Katteen

Na Bhookh Hai Na Pyaas Hai Na Koi Aas Hai

Na Koi Paas Hai Bas Ek Tera Ehsaas Hai

Jo Har Waqt Mere Sath Hai


September 27, 2008

Lamho se Mulakkat


Kuchh beete hue lamho se mulakat hui

Kuchh tute hue sapno se baat hui

Yaad Jo karne baithe un tamam yadon ko

To apki hi yaadon se shuruat hui






September 26, 2008

Dosti Ehsaas Ki







Zaroorat hi nahin alfaaz ki

Dosti to cheez hai bas ehsaas ki

Paas hote toh manzar hi kya hota

Door se hi khabar hai hamein aapki har saans ki










September 25, 2008

Dard - E - Dil


Saza Itni Lambi Na Ho


Ki Woh Saza-e-Maut Ban Jaaye


Pyar Itna Na Karo Kisi se


Ki Woh Sir Chad Jaaye


Yeh Mana Dil Pe Kisi Ka Zor Nahin


Dosto Dil Na Do Kisi Ko Itna


Ki Woh Dard-e-Dil Ban Jaaye






September 23, 2008

Nazar Lag Gayi




HUM TO KHUSH THE APNI DUNIYA MEIN

NAA JAANE KISKI LAG GAYI NAZAR

CHAIN KHO GAYA, HAMARI NEEND UD GAYI

SHAYAD HUME KISISE PYAR HO GAYA

SOCHA JIGAR KA THUKDA MIL GAYA

LEKIN HAMARE JIGAR KA HI TUKDA HO GAYA







September 22, 2008

Usi Ki Hai


Mujh Me Khushbu Basi Usi Ki Hai

Jaise Yeh Zindagi Usi Ki Hai

Wo Kahin Aas Pas Hai Mere

Ho Na Ho Yeh Hansi Usi Ki Hai

Ab To Yeh Khuwab Bhi Nahi Mere

Ab To Yeh Neend Bhi Usi Ki Hai

Ya To Koi Kami Nahi Mujh Me

Ya Phir Mujh Me Kami Usi Ki Hai









Ilzaam Pe Ilzaam Laga Raha Hai Koi


Shaam dhali fir kaali raat aayi

Dil dhadka fir aapki yaad aayi

Saanson ne Mehsoos kiya fir us Hawa ko

Jo aapko chookar hamare paas aayi

Sukhe patte gira raha hai koi

Bevajah hamein sta raha hai koi

Kya kya na lutaya hamne pyaar me

Phir bhi ilzaam pe ilzaam laga raha hai koi