skip to main |
skip to sidebar
Saza Itni Lambi Na Ho
Ki Woh Saza-e-Maut Ban Jaaye
Pyar Itna Na Karo Kisi se
Ki Woh Sir Chad Jaaye
Yeh Mana Dil Pe Kisi Ka Zor Nahin
Dosto Dil Na Do Kisi Ko Itna
Ki Woh Dard-e-Dil Ban Jaaye

HUM TO KHUSH THE APNI DUNIYA MEIN
NAA JAANE KISKI LAG GAYI NAZAR
CHAIN KHO GAYA, HAMARI NEEND UD GAYI
SHAYAD HUME KISISE PYAR HO GAYA
SOCHA JIGAR KA THUKDA MIL GAYA
LEKIN HAMARE JIGAR KA HI TUKDA HO GAYA

Mujh Me Khushbu Basi Usi Ki Hai
Jaise Yeh Zindagi Usi Ki Hai
Wo Kahin Aas Pas Hai Mere
Ho Na Ho Yeh Hansi Usi Ki Hai
Ab To Yeh Khuwab Bhi Nahi Mere
Ab To Yeh Neend Bhi Usi Ki Hai
Ya To Koi Kami Nahi Mujh Me
Ya Phir Mujh Me Kami Usi Ki Hai

Shaam dhali fir kaali raat aayi
Dil dhadka fir aapki yaad aayi
Saanson ne Mehsoos kiya fir us Hawa ko
Jo aapko chookar hamare paas aayi
Sukhe patte gira raha hai koi
Bevajah hamein sta raha hai koi
Kya kya na lutaya hamne pyaar me
Phir bhi ilzaam pe ilzaam laga raha hai koi
